Baith jata hu mitti par aksar
Apani aukat ka pta chalta hai
Mene samandar se sikha hai jine ka salikha
Chupchap se behna aur apani mauj me rehna
Chahta to hu ki ye duniya badal du
Par do waqt ki roti kamane ki jang me fursat hi nahi milati
Mehangi se mehangi ghadi pehan kar dekh li par waqt kabhi mere hisab se chala hi nahi
Yuhi hum dil ko saaf rkha karte hai
Pta nahi tha ki yha kimat chehro ki hoti hai
Do baate insaan ko khud se juda kar deti hai
Ek uska aham aur dusra uska vyaham
Paiso se sukh kabhi kharida nahi jata
Aur dukh ka koi khariddar nahi hota
Muze jindagi jine ka tajurba to nahi hai
Par suna hai ki
Sadgi me log jine nahi dete ....